Ydi aap sadakon par vahan dodate hue vihngm najaron ko dekhna, unhne camera men caed krana or kinare khade pure aasman ko banhon men sametne ka adhbhut aannd lena chahte hai, to desh ki ye khtrnak sadaken aapke liye hi hain. Garmi ke sath hi ye sadaken romanch premi prytakon ke liye khul jati hain. Desh ki in sabse khatrnaak sadakon par ek chuk aapko hajaron feet gahri khaii men phuncha skati hai. Bawjud iske romanch ke diwane desh ki in sabse khatrnaak sarpili ghumawon wali pahadi sadakon par behichk vahan dodane dur-daraj se phuch rhe hain.
Khubsoorat
Hawaii Leh-Manali
![]() |
leh |
Himachal prdesh se jammu-kashmir jaane wale leh-manali
Hawaii jitna khubsoorat hai, utni hi khatrnaak bhi. Ise desh ke sabse khatrnaak
sadakon men gina jaata hai. Yah sadak karib 490 km lanbi hai, jo saal me cavel panch
mahine garmiyon men khuli rahti hai. Is Yatra ko pura krne men do din lag jaate
hain.
Manali ki khubsoorat ghaati se leh ki uchaii aapke
tan-man ko sraabor kar dene ke liye kaafi hai. Barfili havaen or raste men
milne wali boddh mth aapko adhyatm ke sath romanch ka anubhv de jaengi. Manali
se leh jaate samay raste men rohtang, sissu, tandi sangam, klang ke gompa, tryball
mousumi, lady of klang, kardang boddh mth, jipsa rafting point, fishing point,
chin ki sima se sata himachal ka antim gaanv darja, surj taal, dipak taal,
baralcha darra, rohtang aadi prytan sathl aate hain. Sarchu camping site bhi is
root pr aakrshan ka cander hai. Is root par kaii romanchk tracking root bhi
hain.
Himachal ke NH-1 par sthit 9 km. lanba jojila darra
(11578 feet ki uchaii par) shri nagar or leh ko jodta hai. Ise desh ka dusra
sbse uncha or khatrnaak rasta mana jaata hai. Sardi ke khrab mosam ke karan yah
akshr bnd rhta hai or garmi men yah kuch hi mahino ke liye khulta hai. Yah
sonmarg se karib 26 km. ki duri pr hai. Yahan par military check point hai,
jahan par aapko aapni yatra ke liye register krwana padta hai. Halanki jojila
darra tak ki sadaken bhut aasan nhin. Yahan se dikhne wala sindh river valley
ka dhrishy romanchit karta hai. Yah Shri nagar-leh highway par sabse uncha
mountain darra hai.
Unchaii
par sthit khardung laa darra
Khardung laa, jammu-kashmir ke ladakh se shiyonk va
nurba ghaati ki or jaane wala himachal ka pramukh darra hai. Ise duniya ki sabse
unchii sadak mana jaata hai, jahan vahan chalet hain. Yah 18,380 feet ki
unchaii par sthit hai. Yah leh se 40 km ki duri par hai. Yahan aksar barf jami
rahti hai or oxygen ki kami se sans lene men preshani hoti hai. Khardung laa
darra ki snkri sadak ke ek or vishalkay phad hain, to dusri tarf ghri khai. Is
sadak par vahan chlana anokha romanch hai. Yah sadak 27 August 1973 ko janta ke
liye kholi gyi. Is Darren ke jarie krakorm or ladakh shrinkhla ke khubsooratdhrishyo
ko nihar sakte hain.
Rohtang darra se himachal ke jo vihngm dhrishy dikhte
hain, shayd hi ve dharti par khin or se sulbh hon. Sking va traking ki
suvidhaon ke kaarn har versh hajaron videshi parytak jaan htheli par lekr lahor
va spiti ke is prvesh dvar tak phunchte hain. Rohtang daara manali se karib 53
km. dur hai. Pure versh barfile tufan va himskhaln ke karan is sadak par jaam
ki sthiti rhti hai. Yahan badi snkhya men videshi parytak
aate hain. Yah daara smuder tal se 4111 meter ki unchain par sthit hai, Jahan
se manali ka shandar dhrishy dikhaii padta hai. Yahan se pahadon or gleshiyr ka
shandar najara bhi dikhaii deta hai. In sabhi ke aalava, is parytak sthal me
aakar parytak traking, mount biking, peraglaiding or skaing bhi kar skakt hain.
Khubsoorat,
par khatarnaak hai nathula darra
Bharat-Chin vyapar ke teen raasthon men se ek nathula
darra se hokar gujrta hai. Yah Sikkim ki rajdhani gangtok se 54 km. ki duri par
hai. Yah vishav ki khubsoorat, Kintu sabse khatarnaak sadakon men se ek hai.
Yah darra prachin resham maarg (silk root) ka hissa hai. Isi raaste par shammo
lek or baba harbhajan mandir hai or yahi raasta kaelas maansrov ko bhi jaata
hai, yhan sardiyon men bhari barfbaari hoti hai. Yah smuder tal se karib 4310
meter ki unchaii pr sthit hai.
0 comments:
Post a comment