Waise dekha jaae to ab Bhart me bhi Cruz traveling dhire
dhire lokpriy ho rha hai. Agar aap bhi Honeymoon trip plan kr rhe hain. To Cruz se
aacha or kya ho skta hai. Yhan hr trh ki suvidhaen v saajo-saaman uplbdh hoti
hain. Samudr ki lahron pr chalta-firta ek chota-sa shahr.
Cruz par jogging track par thalte ya dodte hue ugte hue surj
ko dekhna ho ya fir lahren ginte hue blue legoon restaurant men bethna aapna
manpasand naashta krna, sab kuch behd hi khaas hota hai. Din bhr kaamkaj ke
baad jhaaj pr sthit swimming pool ke kinare aapni manpasand drink ka gilas
thame thandi hva ka aannd lete hue thkan utarni ho ya fir der raat tk chlne
wale manoranjn naach-gaanon v sangeet se sath thirkna. Yh sab jivn men maanon
ek nai taajgi-si bhr deta hain. Yhi wajh hai ki cruz traveling logon ko
aakrshit krne lga hai.
Cruz pr shadi krne ka chln bhi bdne lga hai. Yhan pr
baratiyon ko tikane ki puri vyvstha hoti hai. Yhan dulha-dulhn shit puri barat
ko smudr pr tairte bainvet ka ehsas hota hai. Baratiyon ke mnoranjan ke liye
desi- videshi band v arkestra maujud hote hain, to khane-khilane men vibhinn
svadon ka ehsas krane ke liye jhaj pr restran bhi hmesha taiyar rhta hai. Shadi
or reception ko yadgar bnane ka isse aacha moka or nhin mil skta hai. Agar sadi
ke fere bhi yhan lena chahte hain, to uska pura intjaam hota hai. To fir kyon n
yhan sadi ko yadgar bnaya gae yani sadi ke sath-sath piknik yay un khiye ki
puree barat ke liye ek chote se honeymoon ka aalishan intjaam.
Honeymoon ke liye hai anmol
Cruz pr nvvivahit jodon ke liye bhi puri vyvstha uplbdh hoti
hai. Honeymoon package men discount bhi di jati hai. Atirikt shulk ke evj men
jodon ke liye cabin ko sjaaya bhi jata hai. Cabin me dil ke aakar ka cake v
dusri chizon bhi milti hain. Jhaj ki sbse upri mnjil pr sthit VIP treij restra
men romantic candle light dinner ki vyvstha bhi ki jati hai. Sath hi, yadon ko
snjone ke liye cruz ki trf se chuninda photo bhi khinchne ka intjaam rhta hai.
Family Trip pr bcchon ka khyal
Cruz pr bcchon ke khelne ke liye porthole hote hain, jhan
bcche khilonen ke bhndar men jakr dinbhr dhachokdi mcha skte hai, thode bde
bcchon ke liye video planet bhi hote hai, jhan ve baithkr computer screen pr
samy gujar skte hain. Aap fitness center men jaakr apni calories kam krne ki
kvayd bhi kar sakte hain ya fir beauty saloon men jaakr vhan ke nirdharit shulk
chukka kr hairkt v shaving se lekr msaaj tk ka aannd utha skte hain.
Khane-pine ki puri taiyari
Cruz pr khane-pine ki bhi acchi vyvstha hoti hai. Jhan
indian or continental ka jabrdst svad chkhne ko milta hai. Aagr aap continental
ke shokin hain, to yhan iska bhi svad le skte hain. Lahron ki in vadiyon men
jayka India ka bhi milega. Halki-halki dhun sunte hue aapne jodidar ke sath DJ
men tej dhun pr mtk bhi skte hain. In sbse alhda, kuch logon ko casinos men
jaakar danv lgane ka moka milta hai, chunki mobile phone kaam nhin krta, isliye
satellite phone, fax or internet ki suvidha di jati hai, lekin inhen upyong
krne se phle inka shulk jaan lena thik rhega.
Kaise krane booking
Aajkl online booking ki puri suvidha hai. Tourist companys booking pr discount bhi deti hain, aapko cruz ka aannd uthane ke liye Mumbai jana padega. Group booking pr milne wali discount ka fayda uthane ke liye kam se kam 20 cabin ki booking jruri hai, bhartiy port mukhyt cruz lains ke halitng station ke rup me kaam krte hain, year 2016-17 me 5 parmukh bndrgahon-mumbai, cochin, goa, new mangalore or chennai port pr cruz lains ke 158 dore hue. Inmen 1.92 lakh yatriyon ki aavajahi hui. Isse phle 2015-16 men 128 cruz doron men yatriyon ki snkhya 1.26 lakh thi. Srkar ka anuman hai ki 2031-32 tak bhart men cruz prytkon ki snkhya badkr 15 lakh or 2042-43 tak 40 lakh ho skati hai.

0 comments:
Post a comment